mazloom ka matam hai ruka hai na rukega
ye aisa diya hai jo hawaon mein jalega
rukhsaar e yazeedi pe lagega wo tamacha
jo haath azadaar ke seene pe padega
mazloom ka matam hai...
sheh bole ye haathon pe utha kar sar e maqtal
hai kaun jo asghar se mere baad karega
mazloom ka matam hai...
sada rahega hussain ka gham
ye shor e girya ye shor e matam
zehra ki dua hai ye matam
ye matam kaise ruk jaye
seh roz ke pyason se ye pani ka hai waada
kaunain mein ab koi bhi pyasa na rahega
mazloom ka matam hai...
hurr banke koi aaye to shabbir ki jaanib
ye aisa gharana hai jo maangoge milega
mazloom ka matam hai...
akbar ne kaha sheh se ulat doonga mai lashkar
baba mujhe do ghoont agar pani milega
mazloom ka matam hai...
baadshah e karbala deen ka hai aasra
teri majlis tera matam zindagi hai ye hussain
ya hussain ya hussain ya hussain
qaayim ko zara aane do ghaibat se takallum
ek halqa abhi khaana e kaaba mein lagega
mazloom ka matam hai...