mil saka na jab ali akbar ka laasha dayr tak
ghutniyo chalte rahe maqtal mein maula dayr tak
jaane kis tarha tamache shimr ne maare usay
siskiyan leti rahi pyasi sakina dayr tak
mil saka na jab...
laasha e abbas ke tukdon ko rakh kar qabr mein
jaane kya kehte rahe sajjad maula dayr tak
mil saka na jab...
aap ka qasim yehi hai shaah ko kehna pada
maa kahan pehchaan paayi apna beta dayr tak
mil saka na jab...
do kate haathon ka tha zainab ko itna intezar
khaak par rakhe rahi laashe sakina dayr tak
mil saka na jab...
jab kaha mukhtar ne ay shimr tu khud hi bata
kis liye tadpe zyada mere maula dayr tak
mil saka na jab...
shimr bola kya bataun mera khanjar kund tha
is liye tadpe zyada tere maula dayr tak
mil saka na jab...
le gaya tha shimr to sar kaat kar shabbir ka
laash par roti rahi bete ki zahra dayr tak
mil saka na jab...
tha takallum mar ke bhi aun o muhamed ka jalaal
taygh ka qabza na shehzado ne choda dayr tak
mil saka na jab...