Kanz e Aza

Qaim Rahe Ye

A noha written by Mir Takallum (2026). Lyrics in Roman Urdu.

sada rahega hussain ka gham

ye shor e girya ye shor e matam

khuda kare khuda kare


qaim rahe ye majlis o matam khuda kare

taaza rahe dilon mein muharram khuda kare


sehne haram mein ahle aza ki rasayi ho

ghaibat nasheen ke haath se parcham kushayi ho

lehraye baam e kaaba pe parcham khuda kare

qaim rahe ye majlis...


lillaah aansuon se na khaali kabhi rahe

ashke ghame hussain se aankhein bhari rahe

roomal sayyeda ka rahe nam khuda kare

qaim rahe ye majlis...


taboot zuljanah alam jhoola taaziya

in par jo aetraaz kare khud hai bewafa

apna rahe aqeeda musallam khuda kare

qaim rahe ye majlis...


matam daba na paaye dhamakon ki bhi sada

rukne na paaye majlis o matam ka silsila

ban jaaye hum shaheedon ke mehram khuda kare

qaim rahe ye majlis...


har matami ke dil mein ye armaan hai basa

paidal najaf se kab ho safar arbaeen ka

qayam ke saath saath chale hum khuda kare

qaim rahe ye majlis...


haan wohi rahe jo apne buzurgon ka tha chalan

ek anjuman hatay to badhe ek anjuman

ho har juloos aise munazzam khuda kare

qaim rahe ye majlis...


rehta hai saal bhar kisi bibi ko intezaar

qasim ki mehendi jaaye jo lekar ye pursa daar

matam se goonje phir se muqayyam khuda kare

qaim rahe ye majlis...


jannat sajaye pyason ke sadqe zameen par

khwahish hai sab ki mokib e ummul baneen par

khuddam e zaaireen bane hum khuda kare

qaim rahe ye majlis...


maqtal mein jisne khaak pe ragdi thi aediyan

sairaab uski pyaas ke sadqe ho ye jahan

bat'ta rahe sabeelon se zam zam khuda kare

qaim rahe ye majlis...


dekha hai jab se maahe aza dil hai beqaraar

sughra madine waalon se kehti hai baar baar

ho khairiyat se shaahe mu'azzam khuda kare

qaim rahe ye majlis...


teele pe hai khadi hui mazloom ki behen

khanjar talay hussain ke lab par hai ye sukhan

zainab na dekhe nazha ka aalam khuda kare

qaim rahe ye majlis...


isyaan se hashr tak meri farde amal ho paak

har dam yehi dua hai takallum ye meri khwaab

khaake dar e hussain mein ho zam khuda kare

qaim rahe ye majlis...