ali ke ghar mein barpa hai qayamat eid se pehle
hui zainab ke baba ki shahadat eid se pehle
ali ke ghar se lekar arsh tak bas gham ka mausam hai
sabab se is ke ab ramzan bhi maahe muharram hai
lagi hai jo sar-e-hyder pe zarbat eid se pehle
ali ke ghar mein...
janaza uth raha hai shaahe khyber geer ka logon
na poochho haal kya hai zainabe dilgeer ka logon
khushi hasnain ki hoti hai ghaarat eid se pehle
ali ke ghar mein...
kaha as'haab ne sar peet kar hasrat rahi baaqi
imamat mein ali ki phir namaz e eid padne ki
qaza ne cheenli ye bhi sa'adat eid se pehle
ali ke ghar mein...
dar e zahra jala kar bhi hasad ki aag baaqi hai
hamay kya thi khabar nana sada zainab ki aati hai
dobara khum ka badla legi ummat eid se pehle
ali ke ghar mein...
ali ke waaste to eid masjid mein shahadat thi
mulaqaat e khuda ki is khadar hyder ko thi jaldi
jaga kar khud diya qatil ko sharbat eid se pehle
ali ke ghar mein...
safe matam bicha do sogwaron aaj ghar ghar mein
baha do apni aankhon ke ye darya yaade hyder mein
milegi tum ko in ashkon ki qeemat eid se pehle
ali ke ghar mein...
ali ko haalate roza mein maara kalma goyon ne
lehed mein bhi mohamed ko sataya kalma goyon ne
rulaya sayyeda ko zer e turbat eid se pehle
ali ke ghar mein...
dua maango ke raahe hijre mehdi jald khul jaye
ke raaze inteqam e karbala darvesh khul jaye
milay zeeshan ko bhi ye basharat eid se pehle
ali ke ghar mein...