ay rozadaro khaak udao
taboot uth raha hai janabe ameer ka
is din ko bhi ashoor banao
taboot uth raha hai...
hasnain se karti thi buka zainab e kubra
taaza tha abhi madar e dilgeer ka sadma
ab daagh yateemi ka uthao
taboot uth raha hai...
ek samt se taboot uthayenge farishte
aur mehwe buka doosri jaanib se hai bete
salman o abuzar ko bulao
taboot uth raha hai...
ye gham bine muljim ne diya aal e nabi ko
sajde mein kiya qatl mere baba ali ko
ay logon mera dard battao
taboot uth raha hai...
baba ne dam e rukhsat e aakhir ye kaha tha
abbas hai zaamin meri zainab ki rida ka
ghazi ko ye ehsaas dilao
taboot uth raha hai...
taboot mera naaqe pe kar dena rawana
ruk jaye jahan naaqa wahin qabr banana
hai waqt wasiyat ko nibhao
taboot uth raha hai...
ab kaun bhala saaya e dewaar banega
bewa'on yateemon ka madadgaar banega
kufe ke ghareebon ko batao
taboot uth raha hai...
ekkeeswi ramzan qayamat ka tha manzar
thi zainab e muztar ki sada mesum o mazhar
ab kaise jiyun koi batao
taboot uth raha hai...