ay shah e karbala ay shah e karbala
har azadaar ke dil ki aawaz hai
bache jo agle baras hum hai aur ye gham phir hai
jo chal base to ye apna salaam e aakhir hai
na honge majlis o matam se hum kabhi ghaafil
gham e hussain ka logon yehi to he haasil
isi aqeede pe qaayim har ek zakir hai
jo chal base to ye apna salaam e aakhir hai
bache jo agle baras...
uthaya baani e majlis ne sheh nashin ka hijab
ye kehke maula ko hum ne kiya salaam janab
paye salaam e aza ye ghulam haazir hai
jo chal base to ye apna salaam e aakhir hai
bache jo agle baras...
har ek shaheed jo qaime se suye dasht gaya
hussain o zainab o sajjad se ye kehke chala
ye apni jaan ka tohfa tumhari khaatir hai
jo chal base to ye apna salaam e aakhir hai
bache jo agle baras...
mila jo izn to pyason se bawafa ne kaha
duayein karna ke tumse na hum ho sharminda
chale hai jaanib e darya khuda hi nasir hai
jo chal base to ye apna salaam e aakhir hai
bache jo agle baras...
badhaye sog ye keh kar hussaini parwane
phir agle saal sajayenge hum aza khaane
bichegi phir ye saf e gham ye baat zaahir hai
jo chal base to ye apna salaam e aakhir hai
bache jo agle baras...
palat ke karbobala se jab aa rahe thay ghar
to bole shaah e zaman se ye safdar o mazhar
bache jo agle baras hum hai aur ye gham phir hai
jo chal base to ye apna salaam e aakhir hai
bache jo agle baras...