Kanz e Aza

So Jao Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

baithe thay jale qaimon mein sadaat be amaan

sehmi hui thi bibiyan bache thay hirasan

zainab ne sun ke dukhtar e shabbir ki fughan

bachi ke ashk ponch ke di yun tasalliyan


baba ke badle mai tujhe seene pe sulaaun

so jao sakina

tum band karo aankhein mai lori sunaaun

so jao sakina

baba to nahi mai tumhe pehlu mein sulaaun

so jao sakina


aankhein ko karo band to phir khwaab dikhega

aa jayenge phir khwaab mein milne tumhe baba

wo aa nahi sakte yahan ye kaise bataaun

so jao sakina

tum band karo aankhein...


maana ke bahot dard hai zakhmon mein tumhare

zaalim ne gohar cheen ke kaano se utaare

mai ashkon ka marham tere zakhmon pe lagaaun

so jao sakina

tum band karo aankhein...


shehzadi yuhin ab tumhe karna hai guzara

qaimon ki jali khaak hi bistar hai tumhara

hai garm zameen is liye zaano pe litaaun

so jao sakina

tum band karo aankhein...


baba ke bina ab tumhe jeena hai meri jaan

gham baap ki furqat ka bhi sehna hai meri jaan

khud apni yateemi ka mai ehwaal sunaaun

so jao sakina

tum band karo aankhein...


laayegi abhi zauja e hurr koozon mein pani

mit jayegi kuch dayr mein ye tashna dahani

phil waqt tujhe neend ka ehsaas dilaaun

so jao sakina

tum band karo aankhein...


zainab ka bayan sunte hi ay safdar o mazhar

kuch dayr ko neend aagayi bachi ko zameen par

ye sheh ne kaha khwaab mein seene pe sulaaun

so jao sakina

tum band karo aankhein...