Sughra se mila do
Beemar behan ka mujhe, chehra hi dikha do
baba, baba, sughra se mila do
1. Ye baat hai sadd gham ki ghata chhaayi hai mujhpar
phal barchi ka toota hai mere seene ke andar
aye baba na bach paayega ab aapka akbar
beemaar-3 behan ka mujhe, chehra hi dikha do
2. Aata hai mujhe yaad madine ka wo manzar
mai aaunga aaya tha ye beemar se keh kar
ab kehna hai jaa'n deta hai ye tera baradar
beemaar-3 behan ka mujhe, chehra hi dikha do
3. Kya haal hai bhai ki judaai me bahan ka
hai kaun khabar geer khudai me bahan ka
maloom hai dil rehta hai bhai me bahan ka
beemaar-3 behan ka mujhe, chehra hi dikha do
4. Majboor hai maghmoom hai beemaar hai baba
sughra bhare kunbe ki azadaar hai baba
wo meri mohabbat me giraftaar hai baba
beemaar-3 behan ka mujhe, chehra hi dikha do
5. Kya uspa guzarti hai bata dijiye mujhko
surat meri qwaahar ki dikha dijiye mujhko
mumkin ho to aawaaz suna dijiye mujhko
beemaar-3 behan ka mujhe, chehra hi dikha do
6. Tum aye labe dam jaan to ab khota hu baba
mai maut ki aaghosh me ab sota hu baba lekin mai pareshaan bohot hota hu baba
beemaar-3 behan ka mujhe, chehra hi dikha do
7. Do ungliya sheh ne jo uthayi sare maidaa'n
hamsheer nazar aayi madine me pareshaa'n
sarwar ne kaha ab nahi kehna ye meri jaa'n
beemaar-3 behan ka mujhe, chehra hi dikha do
8. Akbar ke sharal dil pa yaka yak huwa sadma
rukne lagi saans aur mutaghayyar hua chehra
karte hue band aankh kaha ab na kahunga
beemaar-3 behan ka mujhe, chehra hi dikha do