subhe ashoor aane waali hai
kya qayamat uthane waali hai
ranj o gham ki ghatayein chayi hai
fatema karbala mein aayi hai
ibne hyder ki aakhri shab hai
subhe ashoor...
qatl hoga shabih e paighambar
maara jayega qasim e muztar
ali akbar ki aakhri shab hai
subhe ashoor...
shaane abbas ke juda honge
asghar e bezuban fida honge
ali asghar ki aakhri shab hai
subhe ashoor...
ghash mein bemaar e karbala honge
qaid namoos e mustafa honge
haq ke sarwar ki aakhri shab hai
subhe ashoor...
ghamzada hai siraj aale nabi
keh rahi hai ye sab se binte ali
jaan e zehra ki aakhri shab hai
subhe ashoor...