Kanz e Aza

Tamache Khaye

A noha for Shehzadi Sakina (s.a) (2017). Lyrics in Roman Urdu.

Tamache Khaye

Haye sakina haye sakina - 2

Haaye mazluma haye sakina

Haye masuma haye sakina

Haaye sakina

Paani masuma me maanga to tamache khaaye - 2

Paani masuma ne maanga to tamache khaaye - 2

Roke baba ko bulaya to tamache khaaye

1. Chinne aaya jo zainab ki rida bacchi ne - 2

Shimr ko rokna chaha to tamache khaaye


2. Jalte khayme se nikalte hue shehzadi ne - 2

Raasta pucha najaf ka to tamache khaaye


3. Dhundti thi wo tamacho ki shikayat ke liye - 2

Mil gaya baap ka laasha to tamache khaaye


4. Gir gayi thi wo kahi chalte hue naake se - 2

Shimr jab dhund ke laaya to tamache khaaye


5. Apne chehro ko tamacho se bachane ke liye - 2

Nanhe haatho se chupaya to tamache khaaye


6. Ye to accha hi hua dil me kaha karti thi - 2

Naa rahe jab mere baba to tamache khaaye


7. Khaaye zainab ne kayi durre bhatije ke liye - 2

Isne baqir ko bachaya to tamache khaaye


8. Kufao shaam ke bazaro me chalte chalte - 2

Thak ke baythi jo sakina to tamache khaaye


9. Mir sajjad sakina bhi hai zahra ki tarha - 2

Ho gayi jab ye yateema to tamache khaaye