Tha Sakina Ka Ye Nouha Mere Baba Baba
Sune Jungle Me Hai Beti Teri Tanha Baba
Bhai Akbar Bhi Gaye Aun-o-Mohammed Bhi Gaye
Koi Bhi Lout Ke Maqtal Se Na Aaya Baba
Nekh Lene Ki Tamanna LIye Bhaiti hi Rahi
Mera Bhai Mera Qasim Bhi Na Aaya Baba
Mera Saqha Wo Mera Chahane Wala Ammu
Naher Par Sogaya Bedasth Wo Pyasa Baba
Dasth Me So-Gaye Sab Naaz Utane Wale
Kya Kare Kis Ko Pukaregi Sakina Baba
Zaqmi Ruksar Hai Aur Qakh Pa Bechain Ho Me
Neend Kaise Hai Kaha Ap Ka Seena Baba
Sabr Ka Wada Hai Aur Sabr Karti Ho Magar
Kyon Lagata Hai Tamache Mujhe Aada Baba
Kha Rahi Hu Mai Tamache Mere Ghouhar Bhi Chine
Kaan zaqmi Huwe Aur Jal-Gaya Kurta Baba
Meri Maa Behene Rasan Bastha Hai Bhai Hai Aseer
Kis-Ko Ab Koun De Aise Me Dilasa Baba
Dekho Ruksar Hai Sujhe Huwe Gardan Zaqmi
Kya Yatimo Ko Yon Milta Hai Pursa Baba
Kahti Thi Roke Sakina Yahi Maqtal Me Rasheed
Baba marjayege Ab Teri Sakina Baba