Ya Hussian Ya Hussian Marhaba Ya Hussian
Ya Ali Ya Hassan Fatima Ya Hussain
Nusrat-e-haq Me Tu Ghar Luta Ya Hussian
Deen Ne Haq Ke Liye Sar Kata Ya Hussian
Mahenate Ambiya Ki Baqa Ya Hussian
Kahete Hai Ambiya Marhaba YaHussian
Vaar Jab Bhi Kiya Padke Nade Ali
Mangi Tuj Se Panha Darke Fouj-e-Shaqi
Tha Ibadat Me Tu Jab Shahdat Huwi
Uff Wo Sajda Tera Marhaba Ya Hussian
Qalb Tukde Huwa Ibne Shabbir Nahi
Hai Nazar Me Duha Hae Akbar Nahi
Gham Se Toti Kamar Wo Baradar Nahi
Sabr Ki Inteha Marhaba Ya Hussian
Ran Me Ghode Se Tu Jab Zami Par Gira
Koi Mohnis Na Tha Ibne Hiader Tera
Maa Ki Godi Me Tha Shahedi Sar Tera
Kehti Hai Fatima Marhaba Ya Hussian
Ta Qayamat Tera Gham Manaenge hum
Karke Sina Zani Khoon Bhaenge Hum
Roze Mahsar Sila Iska Paenge Hum
Nouha Mazhar Tera Marhaba Ya Hussian