Ye Kaisa Ghar Hai Yahan Par Bouhat Andhera Hai
Yahan se Chaliye Phupi Jaan Abhi Savera Hai
Yaha Se Chaliye Ke Sughra Ki Yaad Aati Hai
Yaha Na Rahiye Ke Ab Jaan Meri Jati Hai
Ye Lag Raha Hai Abhi To Yahi Basera Hai
Ye Apne Baba Ko Jab Dhondne Yaha Aayi
Tho Ek Lashe Pe Be-Sar Se Ye Sada Aayi
Qareeb Aa Meri Beti Ye Baap Tera Hai
Tumhare Bad Na Baba Sukoun Se So Payi
Khusi To Dor Hai Khul-Kar Bhi Nahi Ro Payi
Ye Inteha Hai Ke Abbas Par Bhi Pehra Hai
Na Aoun Aur Na Qasim Na Bhayya Akbar Hai
Na Baba-Jaan Na Ammu Na Nanha Asghar Hai
Bala Ke Ban Me Musibat Ne Hamko Ghera Hai
Sunaoun Kya Tumhe Hampar Guzar Gayi Ammu
Phuphi Tho Ab Ghadi Jiteji Margayi Ammu
Suna Jo Qafela Kufe Me Aake Thaira Hai
Chale Hi Jayenge Sab Log Mujko Dafnakar
Padega Kaun Meri Fateha Yahan Aakar
Mere Naseeb Me Tanhayoun Ka Dera Hai