Kanz e Aza

Ye Bain Sakina ke

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

ye bain sakina ke thay baba nahi aaye

kyun ay phupi amma mere baba nahi aaye


kehti thi ke dunya se guzar jaungi baba

aur shaam ke zindan hi may mar jaungi baba

ab tum se juda hoke kidhar jaungi baba

paara hai jigar phir bhi tehar jaungi baba

ye bain sakina ke…


ya rab mere baba pe na maqtal may jafa ho

mai soch rahi hoo kahin aisa na hua ho

baba ko na lashkar ne kahin ghayr liya ho

kismat may mere daaghe yateemi na likha ho

ye bain sakina ke…


ye kehke gaye thay ke abhi aata hoo bibi

pani kahin mil jaye to mai laata hoo bibi

mai khoone jigar peeta hoo gham khaata hoo bibi

allah nigehban hai mai jaata hoo bibi

ye bain sakina ke…


ab tak to har ek ranj o musibat may guzar ki

is ranj o musibat ki kisi ko na khabar ki

ab jaana yateemi may mohabbat ko pidar ki

ek yaas ka aalam hai jigar maine nazar ki

ye bain sakina ke…


allah kisi ko na kare be-sar o saaman

jis tarha se hum aale mohamed hai pareshan

aisa ho jahan may na pareshan koi insan

pamaal na is tarha se ho koi gulistaan

ye bain sakina ke…


rukh badle hue ahle gulsitan hai phupi jaan

ye ummate ahmed ye musalman hai phupi jaan

baba ke na aane ke ye samaan hai phupi jaan

aasaar yateemi ki numayan hai phupi jaan

ye bain sakina ke…


zikre ghame shabbir may ab aah o buka kar

aur aankhon may ashke ghame shabbir saja kar

hai sheh ka wafadaar to phir zikre wafa kar

maqtal may urooj har ek apne gham ko bhula kar

ye bain sakina ke…