ye beti kiski beti hai
jo jalte zameen par leti hai
ye dukhtare shaah e madina hai
aur iska naam sakina hai
ek din may ghar veeran hua
aur jaane ka samaan hua
baba ka sar sajde may kata
afsos ke ab koi na raha
ye beti kiski beti...
qasim bhi gaye akbar bhi gaye
aur jhoole se asghar bhi gaye
ammu bhi nehr kanare gaye
sab ek ek karke maare gaye
ye beti kiski beti...
aisi bhi yateema koi hai
ek ek ko din bhar royi hai
behosh hui ya soyi hai
ya apni zulfein kholi hai
ye beti kiski beti...
ye sab ko behad pyari thi
ammu ki raaj dulaari thi
jab shab ko pareshan hoti thi
seene par baap ke soti thi
ye beti kiski beti...
bachi kis se faryad kare
asbaab luta qaime bhi jale
zaalim ne cheene aag isay
kurta bhi tamache bhi maare
ye beti kiski beti...
ab aur shaqi rulwayenge
inko to qaidi banayenge
ye dar dar sab ko phirayenge
darbar may bhi le jayenge
ye beti kiski beti...
phir qaid may kya aalam hoga
kab zulm e yazeedi kam hoga
dukhiyon ko taaza gham hoga
is bachi ka maatam hoga
ye beti kiski beti...