zainab ki sada thi ke na tadpao sakina
lillaah jahan bhi ho chali aao sakina
zainab ki sada thi…
mai subho se ta asr tadapti hi rahi hoo
aa jao khuda ke liye aa jao sakina
zainab ki sada thi…
ya mujhko sada do ke mai lene tumhe pahunchun
ya khud meri awaaz pa aa jao sakina
zainab ki sada thi…
qasim hai na akbar hai na abbas e dilawar
ab kaun tumhe dhoonde ye batlao sakina
zainab ki sada thi…
raat aa gayi bhooki bhi ho pyasi bhi meri jaan
aisa na ho thak kar kahin so jao sakina
zainab ki sada thi…
bibi tumhe raste bhi to maloom nahi hai
darti hoo ke sehra mein na kho jao sakina
zainab ki sada thi…
bhaiya ne tumhe meri hifazat mein diya tha
bhabi se to sharminda na karwao sakina
zainab ki sada thi…
maidan mein to be-sar ke hai laashe meri bachi
shab mein na unhe dekh ke darr jao sakina
zainab ki sada thi…
mai dil jali bewa'on ko deti hoo tasalli
tum rote hue bachon ko behlao sakina
zainab ki sada thi…
bibi tumhe ab baap ka seena na milega
aa kar meri aagosh mein so jao sakina
zainab ki sada thi…
mashad ki ziyarat se musharrab hua izzat
ab rauza e abbas par bulwao sakina
zainab ki sada thi…