Kanz e Aza

Ye Bali Sakina Hai

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by N. Sarwar & J. Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

haye sakina haye haye haye shaam


din raat sada jo aati hai

har dil ko jo tadpati hai

ye bali sakina hai


zindan mein jo roti hai

baba ko bulaati hai

ye bali sakina hai


naazon se pali hai ye bachi

sab us ke naaz uthaate thay

kabhi maa kabhi baba bhai chacha

sab is pe waari jaate thay

kabhi ye godhi kabhi wo godhi

masooma ko yaad aati hai

ye bali sakina hai

zindan mein jo roti hai...


baba se bichad kar beti ne

kya kya na masayab dekhe hai

pyasi bhi rahi qaidi bhi bani

zaalim se tamache khaaye hai

jo seena e shaah pe soti thi

ab wohi khaak pe soti hai

ye bali sakina hai

zindan mein jo roti hai...


zindan ke dar se jo guzre

bibi har ek se kehti hai

baba se milo to keh dena

tumhe yaad sakina karti hai

tum paas chale aao baba

ro ro ke wo chillaati hai

ye bali sakina hai

zindan mein jo roti hai...


ashoor se lekar zindan tak

har zulm usay yaad aata hai

abbas akbar qasim asghar

baba ka gham tadpata hai

zindan mein matam kar kar ke

jo sab ka sogh manaati hai

ye bali sakina hai

zindan mein jo roti hai...


sajjad se ro ro kehti hai

kab milne baba aayenge

ache bhaiya ye batla do

kya hum bhi kabhi ghar jayenge

kabhi bhai se kabhi amma se

har waqt sawaal jo karti hai

ye bali sakina hai

zindan mein jo roti hai...