jag hai tumhara maula jag hai tumhara
dekho ya hussain saara jag hai tumhara
wo sada e hal min jo kal goonj rahi thi sehra mein
aaj talak sadiyon se wohi goonj rahi hai dunya mein
aap akele thay maula ab saari dunya saath mein hai
saath bhi aisa de ab sab ka jeena marna saath mein hai
ya maula ya hussain
saara zamana haan ye saara zamana
hai tumhara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
ye zameen o aasman keh rahi hai har zaban
keh raha hai har nazara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
maula maula hussain hussain hussain
roze ashoora laakhon mein tanha
hussain hum ko bula rahe thay
hal min ka naara hai ye ishara
hussain sab ko jaga rahe thay
zinda raha hai zinda rahega
hal min ka naara hussain ka
har dil ki dua har lab pe sada
ye khazana hai tumhara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
saara zamana haan ye saara zamana
hai tumhara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
ya imame do jahan sheh saware kaarwan
tum jahan ho hum wahan ya hussain
hum sab ka hai naara ya hussain ya hussain
maula maula hussain hussain hussain
kal thay akele karbobala mein
hussain koi na tha tumhara
aur aaj aalam pukaarta hai
hussain hamara hussain hamara
badla hai kaisa dekho nazara
har dil thikana hussain ka
tum pe maula subho shaam
saari qaumon ka salaam
sab ne mil ke hai pukara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
saara zamana haan ye saara zamana
hai tumhara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
ye zameen o aasman keh rahi hai har zaban
keh raha hai har nazara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
hussain hussain hussain maula maula
hussain hussain hussain
karoro dil hai jo aaj maula
tumhari jaanib rawan dawan hai
labbaik maula labbaik maula
yehi sadayein zaban zaban hai
har kaarwan mein har ek zaban mein
naam aa raha hai hussain ka
sab ka pyara ya hussain
sab ka naara ya hussain
har zamana hai tumhara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
ya imame do jahan sheh saware kaarwan
tum jahan ho hum wahan ya hussain
ye goonjega ye goonjega ye goonjega
ye goonjega ye goonjega ye goonjega
ye goonjega ye goonjega
haan naam hussain ka goonjega
sab galiyon mein sab raahon mein
sab shehron mein maidanon mein
dil ki dhadkan dhadkan mein
ghar ghar mein aangan aangan mein
sehraon mein daryaon mein
sab zehno mein haan lehjon mein
naaro mein baaton baaton mein
naam hussain ka goonjega
saara zamana haan ye saara zamana
hai tumhara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
ye zameen o aasman keh rahi hai har zaban
keh raha hai har nazara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
hussain hussain hussain maula maula
hussain hussain hussain maula maula
hussain hussain hussain
salaam tum par janabe zainab
hussain ban kar dikhaya tum ne
qadam qadam par suna ke khutbe
hussainiyat ko badhaya tum ne
nauha sunaya matam karaya
parcham uthaya hussain ka
kabhi bar sare bazaar kabhi bar sare darbar
bibi zainab ne pukara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
saara zamana haan ye saara zamana
hai tumhara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
ya imame do jahan sheh saware kaarwan
tum jahan ho hum wahan ya hussain
hum sab ka hai naara
ya hussain ya hussain ya hussain
maula maula hussain
ya hussain ya hussain ya hussain
kya bawafa thay hussain waale
jo karbala mein thay paara paara
sada e hal min ko sun rahe thay
hussain ka tha ye isteghasa
abbas aao mujhko sambhalo
koi raha na hussain ka
di shaheedon ne sada tum pe ho jaye fida
mile jaan jo dobara ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
ya hussain maula ya hussain
maula ya hussain maula ya hussain
tum akele nahi ho ya hussain
maula maula hussain
jag hai tumhara maula jag hai tumhara
dekho ya hussain saara jag hai tumhara
haazir hai haazir hai maula
pursa lo pursa hamara
har dil mein hai gham tumhara
hum na bhoolenge karbala
hum na bhoolenge ashoora
rahega sada ye naara
maula maula hussain maula
haazir hai haazir hai maula
maula maula hussain maula
haazir hai haazir hai maula
maula maula hussain maula
maula maula hussain maula
maula maula hussain maula
maula maula hussain maula
maula maula hussain maula