Tuta Pyasoun Ka Sahara Hai Saqqa Gaya Mara
Ro-Ro Kehthi Thi Sakina Pyaas Se Jaltha Hai Sina
Paani Ammu Do Khudara Tooota Pyason Ka Sahara
Chingaye Sar Se Bhi Chadar Aao Abbas-e-Dilawar
Roke Zainab Ne Pukara Toota Pyasoun Ka Sahara
Shahe Ne Dil Tham Liya Hai Aayi Run Se Ye Sada Hai
Sher Duniya Se Sidhara Toota Pyason Ka Sahara
Neher Se Saniye Haider Laya Jab Mashq Sakina
Bahgaya Khoon Ka Dhara Toota Pyasoun Ka Sahara
Behgaya Maskhq Se Pani Tehri Darya Ki Rawani
Roya Darya Ka Kanara Toota Pyasoun Ka Sahara
Jab Gira Ghode Se Abbas Di Sada Shahe Ko Basad Yaas
Lo Qabar Moula Khudara Toota Pyason Ka Sahara
Kat-Gaye Shane Dil Ba-Huwe Aale Nabi Ke
Toota Umeed KaTar toota Pyason Ka Sahara
Khoon Me Dooba Alam Hai Matam-e-Girya-o-Gham Hai
Dil Hai Abid Ka Bhi Para Toota Pyason Ka Sahara