Kanz e Aza

Thay Bain Sakina ke Lo Jald Khabar Baba

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Lagta Hai Adhere Se,  Zindaan Mai Dar Baba


Hai Kaan Mere Zakhmi Aur Khak Hai Baloon Par

Boseeda Mera Kurta Hai Khoon Mai Tar Baba


Behta Hai Lahu Ab Tak Zakhmi Mere Kaanoo Sai

Kheenchy Hai Sitamgar Ne Is Tarha Gohar Baba


Mai Shaam Kai Zindaan Mai Ghut Ghut Kai Na Mar Jaon

Ek  Pal Ko Nahi Khulta Zindaan Ka Dar Baba


Turbat  Pai Mere Baba Ek Shamma Jala Dena

Mai Apke Ane Tak Mar Jao Agar Baba


Ay Baba Buhut Maine Tha Yaad Keya Tumko

Par Deekhne Baite Ko Aye Na Magyar Baba


Gar Milti Mujhy Muhlat To Jati Madiney Mai

Matam Mai Tera Karti Aur Roti Buhut Baba