Kanz e Aza

Tha Bano ka Yehi

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

tha bano ka yehi naala meri dukhiya khuda hafiz

lehad hai ab tera hujra meri dukhiya khuda hafiz


andheri qabr mein kis tarha tujhko neend aayegi

na ho ga jab koi apna meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


behelta tha sabhi ka dil tumhari pyari baaton se

rahega ghar mein sannata meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


khuda shahid tumhari maa nahi hai bewafa beti

hai ye sab khel qismat ka meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


bahot takleef thi tum ko tamachon ki aziyyat se

tha us par pyaas ka ghalba meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


sula de kaash koi mujhko bhi tere barabar mein

taqaaza hai ye mamta ka meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


parinde dekh kar jab tum bahot meinoos hoti thi

wo manzar tha qayamat ka meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


har ek lamha andheron ne nibhayi dosti tujhse

ujaala be-wafa nikla meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


sabhi ke saath tumko bi madine le ke jaungi

agar bas mein mere hota meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


giraya shimr ne pani zameen par saamne tere

diya tujh ko na ek khatra meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


ye kehti thi chuda le kaash koi mujhko zindan se

yahan mumkin nahi jeena meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


na zakhmon ke liye tum ko dawa koi meinassar thi

na marham bhi meinassar tha meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


bhala kaise bhulaungi tere masoom chehre ko

ghutega dil bahot mera meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


pasheman thi bahot tum bhej ke ammu ko darya pe

na dil se bojh ye utra meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


luti hai chaar barson ki kameini qaid khane mein

na poocho haal is dil ka meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...


raza har ek armaan dafn kar ke qaidkhane mein

chali kehti hui mamta meri dukhiya khuda hafiz

tha bano ka yehi naala...