Kanz e Aza

Wa Hassan Sabz Qaba

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

haye wo bekasi

maqtal se aaya laasha e qasim

bhai hassan ki yaad satane lagi

zainab ne roke laasha e qasim pe ki buka

wa hassan sabz qaba be khata qasima


kal tera jigar tukdon mein bata tha

aaj tera qasim tukdon mein bat gaya

wa hassan sabz qaba...


dunya ne tujhko chain se rehne diya

tujhko zehar diya ye sitam khatm na hua

ye zulm chalte chalte qasim tak aa gaya

wa hassan sabz qaba...


ummat ne tere saath bada zulm ye kiya

tukde hua kaleja tera wa musibata

maqtal mein tera qasim tukdon mein batgaya

wa hassan sabz qaba...


tha chand fatema ka sitam ki ghataon mein

ghar se chala janaza to teero ki chaon mein

qasim ka laasha dhoop mein pamaal hogaya

wa hassan sabz qaba...


tujhpar salaam ay mere mazloom tar aqi

qasim ki tarbiyat mein kami koi na rakhi

akbar se pehle sheh pe qurban hogaya

wa hassan sabz qaba...


lekin tujhe kafan to meinasar tha bhai jaan

qasim to be-kafan hi gaya chod kar jahan

kyunkar na mere lab pe har dam ho ye buka

wa hassan sabz qaba...


izne wigha hussain se jab mil nahi saka

taveez tera saath mein laaya wo mehlaqa

dil thaam kar hussain ne be-saakhta kaha

wa hassan sabz qaba...


paywast jitne teer thay taboot mein tere

utne hi zakhm qasim e dilgeer ko lage

farwa ke lab pe aaya is gham se marsiya

wa hassan sabz qaba...


zainab ne roke mazhar o farhan ye kaha

bhai hassan ka daaghe judaai hara hua

ahle haram ne laasha e qasim pe ki buka

wa hassan sabz qaba...