Leti Hai Maa Balayien Marne Chala Hai Dulha
Sehra Sajaye Ran Ko Ab Jaraha Hai Dulha
Ab Jaraha Hai Dulha Ab Jaraha Hai Dulha
Taweez-e-Mujtaba Jab Dekhi Jo Usne Jis Dam
Taweez Ab Chacha Ko Dikla raha Hai Dulha
Beta Fida Ho Shai Par Shabbar Ki Thi Wasiyath
Armaan Pura Karne Ab Jaraha Hai Dulha
Pamal Honge Arma Shadi Ke Sare Ran Me
Qaime Me Maa Se Milne Ab Aaraha Hai Dulha
Karbobala Ke Ban Me Aisi Rachi Hai Shadi
Kubra Bani Hai Dulhan Qasim Bana Hai Dulha
Farwa Se Koye Kehde Jaan Deen Par Lutakar
Milne Pidar Se Kausar Pa Ab Ja Chuka Hai Dulha
Dulhan Pe Gash Hai Tari Matam Ki Saf Bichi Hai
Maidan Me Ladte Ladte Maragaya Hai Dulha
Tera Baras Ke Sin Me Mehndi Rachaya Pyasa
Dekho Fida Chaha Par Kaise Hua Hai Dulha
Shabbir Larahen Hain Tukde Aba Main Saare
Pamal Ran Main Ghodoun Se Ab Hogaya Hai Dulha
Pamal Hogay Hain Qasim Ho Ran Main Hyder
Bewa Bani Hai Kubra Mara Gaya Hai Dulha