Kanz e Aza

Ah asghar ah asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

AAH ASGHAR AAH ASGHAR

Bano pukari ro ro kar

ah asghar Ah asghar ah asghar

Pyas who teri sidaath ki


Ruk thi na thi teri hichki

Chain tujhe aye kyon kar

Chod ke kaisay jaongy

Kaise dil bailoongy


Maa se lipat ja ab aakar

Jula julaoun main kisko

Lori sunaoun main kisko

Neend tujhe aye kyon kar


Godi huvi suni beta

Hogaye dekho main tanha

Kab tak tadpegi madar

hai-e-vo tera nanha gala


Sunthi hoon uspar teer laga

Jane kya guzri tujh par

Bhai ki furkath main

bechain Boli sakina binte hussian


Nanhi se behein

Tariki hain rahoun main

Aja meri bahoun main

Tu hai mera noor-e-nazar