Sakina (sa) Bibi Ke Lab Par Sada Hai.
qudaya Waqt Kaisa Aa Pada Hai.
mera Baba Akela Hogaya Hai.
ali Akbar Asws. Bhi Ran Mein Mar Chuke Hai.
chacha Shane Katakar Sogaye Hai.
faqat Bhaiya Qaime Mein Bacha Hai.
yeh Sunke Hogaye Jhoole Mein Muztar.
kaha Ye Bezubani Mein Ay Qwahar.
tere Bhayi Ka Marna Reh Gaya.
ali Asghar Asws. Bhi Ran Ko Jaa Raha Hai.
sakina (sa) Bibi Ke Lab Par Sada Hai.
1. Ajab Hai Karbala Ka Ye Sipahi.
na Tan Par Hai Zira Aur Na Sawari.
anokhi Shaan Se Wo Jaa Raha Hai.
2. Teri In Nargisi Aankho'n Ke Sadqe.
nazar Lag Jaye Na Bhaiya Ko Mere.
mere Maa'njaaya Sajke Jaa Raha Hai.
3. Tujhe Ek Baar Jhoole Mein Jhulalu.
tujhe Mai Apne Seene Se Lagalu.
mujhe Kyu Rona Rona Aa Raha Hai.
4. Meri Amma Balayein Iski Lelo.
nazar Ka Teeka Bhi Isko Lagado.
yeh Pehli Baar Maqtal Jaa Raha Hai.
5. Tere Bin Kaise Jee Payegi Madar.
sukoo'n Se So Bhi Na Paayegi Madar. ke Uska Laadla Bhi Jaa Raha Hai.
6. Lagega Teer Nazuk Se Gale Par.
na Qatra Pani Ka Hoga Mayassar.
mujhe Kyu Aisa Bhaiya Lag Raha Hai.
7. Shahe Dee'n Qaime Mein Maida'n Se Aaye.
jhukakar Sar Sakina (sa) Se Ye Bole.
tere Bhayi Ka Manka Dhal Chula Hai.
8. Likha Hai (moosvi) Tune Jo Nauha.
duayein Deti Hai Bali Sakina (sa)
jo Iske Bhayi Par Tu Ro Raha Hai.
az: Shayer E Ahlebait Janab Mustafa Ali Moosvi Sahab.