apne haathon se baba ne
turbat mein sulaya tha mujhko
aur shaam ke zaalim lashkar ke
naizon ne sataya tha mujhko
turbat mein mujhe rehne na diya
sar mera bhi naize pe utha
amma amma
amma tumhara asghar naize pe aagaya hai
do baar zibha mujhko ran mein kiya gaya hai
noke sina pe amma dohra hai dard mera
ek naize par barabar mein aap ki rida hai
amma tumhara asghar...
chaale pade hai kaise zakhmi huwe hai kaise
kuch to batao amma haathon ko kya hua hai
amma tumhara asghar...
apna khayaal rakhna meri na fikr karna
dadi ne mujhko apni godhi mein le liya hai
amma tumhara asghar...
cheh maah ke ali ka din bhi hai cheh moharram
maa dekhti hai ab bhi jhoola kahan saja hai
amma tumhara asghar...
nikla tha jab watan se tha godh mein tumhari
hamraah ab tumhare sar kat ke jaa raha hai
amma tumhara asghar...
ghazi ka hoon bhatija aankhein mai kholun kaise
maine suna hai amma behno ka sar khula hai
amma tumhara asghar...
naize se mai sakina ko dekhta raha hoon
chehra meri behen ka zakhmon se bhar gaya hai
amma tumhara asghar...
zindan bhi dhoop mein thi turbat bhi dhoop mein hai
bano ne ay takallum waada nibha diya hai
amma tumhara asghar...