uthjao ali asghar
aankhein to zara kholo aise to nahi rootho
kuch bolo mere bhaiya asghar
uthjao ali asghar
lori tujhe sunaungi jhoola jhula'ungi
ashkon se tera chehra asghar mai dhula'ungi
awaaz meri sunkar lillaah zara jaago
kuch bolo mere bhaiya asghar
uthjao ali asghar…
aankhein to zara…
suraj to ja chuka hai hone laga andhera
tareek shaam aayi bhoolo na ghar ka rasta
mai dar rahi hoo bhaiya jangal mein dar na jao
kuch bolo mere bhaiya asghar
uthjao ali asghar…
aankhein to zara…
amma to bekhabar hai maidan mein kya hua hai
lekin mujhe khabar hai zakhmi tera gala hai
haazir hai ashk mere zakhmo ko apne dholo
kuch bolo mere bhaiya asghar
uthjao ali asghar…
aankhein to zara…
khusboo tere lahoo ki sanson mein aa rahi hai
tum aao wagar na meri ab jaan jaa rhai hai
dil keh raha hai mera bhai ko apne rolo
kuch bolo mere bhaiya asghar
uthjao ali asghar…
aankhein to zara…
aa kar dikhao chehra dam ghut raha hai mera
mai bhi to dekhun bhaiya hai zakhm kitna gehra
ab mere sabr ko tum asghar na aur tolo
kuch bolo mere bhaiya asghar
uthjao ali asghar…
aankhein to zara…
ye khaali khaali jhoola mujhko sata raha hai
tere baghair asghar dil dooba ja raha hai
tumko jo ran se laaye awaaz doo mai kisko
kuch bolo mere bhaiya asghar
uthjao ali asghar…
aankhein to zara…
rehaan jab sakina ye bain kar rahi thi
asghar ki maa bhi uska nauha ye sun rahi thi
kehti thi ay sakina ye baat ab na bolo
kuch bolo mere bhaiya asghar
uthjao ali asghar…
aankhein to zara…