Kanz e Aza

Ay Mere Bhai Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

suno suno shabe ashoor ka ye manzar hai

sirhane bhai ke baithi ali ki dukhtar hai

wo keh rahi hai mera sabr azmaoge

ay mere bhai hussain


qadam qadam pe mujhe bhai yaad aaoge

ay mere bhai hussain ay mere bhai hussain


sehar ko nana ka waada jo tum nibhaoge

ay mere bhai hussain ay mere bhai hussain

qadam qadam pe mujhe...


meri nigaah mein bachpan ki saari yaadein hai

kahi thi nana ne jo yaad wo bhi baatein hai

sahar se pehle charaghon ko tum bujhaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...


nabi sawari tumhari sawaar tum bhai

thay amma zahra ke dil ka qaraar tum bhai

aur aaj khoon mein apne hi tum nahaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...


tumhare chehre ka ye itmenan jaanti hoon

tumhara hona hai jo imtehan jaanti hoon

behan se dard e jigar ko chupa na paaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...


gulu e asghar e baysheer seena e akbar

sata raha hai tumhe sabr kar rahe ho magar

rida ki baat pe nazrein mila na paaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...


abhi to bali sakina ka zikr baaqi hai

abhi to shaam e ghariban ki fikr baqi hai

rakhoge yaad kise kisko bhool jaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...


na gham karo mere bhai tumhare baad bahan

rida na odhegi jab tak tumhe mile na kafan

ye dukh hai saath hamare watan na jaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...


kaha hussain ne sun kar kalaam zainab ka

hamari jaan ke badle bache tera parda

ye kya kaha ke mera sabr aazmaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...


tere baghair mukammal nahi payaam mera

tere baghair adhoora hai ab to naam mera

kaho mai aaungi majlis mein jab bulaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...


ye guftugu thi ke goonji azaan akbar ki

rehaan hoti thi yalghaar sheh pe lashkar ki

ali ki beti pukari hamay rulaoge

ay mere bhai hussain...

qadam qadam pe mujhe...