tera hussain mera hussain
rab ka hussain sab ka hussain
ay musalman aaj bhi ye poochti hai karbala
kis jurm mein mustafa ke ghar ko hai loota gaya
mohsin e insaniyat ke qatl ke fauran hi baad
chin gayi makhdooma e kaunain ke sar se rida
ay musalman aaj bhi...
karbala se shaam tak zainab ko chadar na mili
kya yehi ajre risalat tu ne sarwar ko diya
ay musalman aaj bhi...
kya dikhayega mohamed ko wo chehra hashr mein
mustafa ki betiyon ko jis ne hai ruswa kiya
ay musalman aaj bhi...
naaz karta hai khuda bhi tere sajde pe hussain
teeron ke saaye mein tu ne jo kiya sajda ada
ay musalman aaj bhi...
gar tujhe bhi chahiye khushnodi e zahra to sun
saani e zahra ke gham mein tu bhi to aansu baha
ay musalman aaj bhi...
kar nahi sakta hamay mehroom shaahe gham se tu
farsh pe matam bapa hai arsh pe aah o buka
ay musalman aaj bhi...
ek hum shabbir ka matam nahi karte ameer
karte hai matam malayik ro rahe hai ambiya
ay musalman aaj bhi...