haakim e waqt agar saahib e emaan hota
ghar nabi zaadi ka aise to na veeran hota
deke sar sajde mein di shaah ne sajde ko baqa
warna masjood zamane mein na yazdan hota
haakim e waqt agar...
baazu e hazrate abbas na kat'te ban mein
chup hi rehne ka na gar bhai ka farmaan hota
haakim e waqt agar...
sar ko mazloom kata'te na agar sajde mein
na namazein na roze na ye quran hota
haakim e waqt agar...
ghar ki dehleez bhi apni na mukammiil dekhi
kaash zainab ke naseebon mein na zindan hota
haakim e waqt agar...
yun hi darbar mein rehti na khadi binte ali
gar ameer in mein sahi koi musalman hota
haakim e waqt agar...