Kanz e Aza

Jab Madine ka

A noha written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

jab madine ka musafir koi paa jaata hoo

hasrat aati hai ye pahuncha mai raha jaata hoo

do qadam bhi nahi chalne ki hai mujh may taaqat

shauq khaynche liye jaata hai mai kya jaata hoo


khaafile waale chale jaate hai aage aage

madad ae shauq ke peeche mai raha jaata hoo

jab madine ka musafir...


kaarwan may rahe yasrab may hoo aghaaz zera

sab may shaamil hoo magar sab se juda jaata hoo

jab madine ka musafir...


jab madine ka musafir koi paa jaata hoo

hasrat aati hai ye pahuncha mai raha jaata hoo

jab madine ka musafir...


faiz e maula se abhi sabr ki taqat hai ameer

jo kadi saamne aati hai utha jaata hoo

jab madine ka musafir...


jab madine ka musafir koi paa jaata hoo

hasrat aati hai ye pahuncha mai raha jaata hoo

jab madine ka musafir...