Kanz e Aza

Parchame Islam Hai

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

parchame islam tujh par salaam

moula ghazi ka alam hi parchame islam hai

apni jad amjad se paaya virsa mein inaam hai

parchame islam hai…


tu shabeehe murtaza aur waarise jaah o hashm

ud gaya haibat se teri kufr ka araam hai

parchame islam hai…


jin ke nana ke liye aalam hua taqleeq hai

berida wo bibiyan hai aur balwa aam hai

parchame islam hai…


jinhe bhi haq ne banaya tha karbala ke liye

wo sab ke sab hi namoona thay do sara ke liye

magar yaqeen ye kaamil ke hazrate abbas

bataur e khaas banaye gaye wafa ke liye


kis khadar teri wafa ke charche hai aqwaam mein

thi wafa benaam warna tu wafa ka naam hai

parchame islam hai…


matam o majlis azadari shaah mazloom ki

saari dunya ke liye haq ka yehi paigham hai

parchame islam hai…


jab lage pathar barasne to sakina ne kaha

ye sitamgaron ki nagri phuphi amma shaam hai

parchame islam hai…


seh roz ke pyase bachon ki afsos ke pyaas bujhi na

aagaya beech bhawar ke logon hyder ka paak safina

chacha ko kabse dekhti hai par aaya nazr kahin na

asghar ke waaste dekhi hia lekar ke jaam sakina


muntazir apne chacha ki hai sakina laadli

kab se asghar ke liye wo leke baithi jaam hai

parchame islam hai…


hai ameer apni ibadat tazkera shabbir ka

madhe aale rasool karna yehi apna kaam hai

parchame islam hai…