pukari zainab-e-muztar kahan gaye abbas
hai tanha mera baradar.. kahan gaye abbas
1. hussain legaye ghule se run mein asghar ko
shaheed kardiya teer e sitam se dilbar ko
lahad banate hai sarwar...kahan gaye abbas… 2.main kya bataun ke kaise ujad gaya mera ghar
gale pa mere baradar ke chalgaya khanjar
musibate hai yeh mujhpar…kahan gaye abbas… 3.jab aayi shaam e ghareeba tha hashr ka manzar
jale qayam chini farq e paak se chadar
aseer hogayi qahar …kahan gaye abbas… 4. sakina yaad tumhe karti roti rehti hai
suhe furat faqad dekhti hi rehti hai
hai intezar mein dilbar…kahan gaye abbas… 5. kya raas agayi tumko tarai dariya ki
batao yaad bhi aati nahi hai behna ki
bulati hai tumhe qahar…kahan gaye abbas… 1
6. bandhe hai hath humare gala sakina ka
batao kaun humari madad ko aayega
use chudaun mein kyun kar…kahan gaye abbas… 7. bandhi hai hatoun mein rassi mein kya karun
bhaiya
nahi hai sar pe rida bhi mein kya karun bhaiya
main kisse mangungi chadar…kahan gaye abbas… 8.tadap ke rehgaya lasha jari ka aye sarwat
huwi jo aal e muhammed pe zulm ki shidat
behan yeh kehti thi rokar…kahan gaye abbas…