haaye abbas haaye abbas
pyaasa dariya se gaya sheh ka sahara abbas
ghamzada maa ki zabaa'n par thi yahi ek fariyad
mere bachche ko yaha'n gher liye hai'n jallaad
gham ke toofaan me dooba hai khudara abbas
ta'ate sheh ke liye sar bhi jhuka ya abbas
dil me jo dard tha usko bhi dabaya abbas
mashk ke saath alam ko bhi sambhala abbas
boond paani na piya aise wo dariya pe raha
mashk is tarha bhara saya na darya pe padha
dhoond te reh gaya dariya ka kinaara abbas
pyaas aankhon me liye yaade sakina me raha
mashk me paani bhara pyaasa tha pyaasa hi raha
ash qiya dang rahe hil gaya dariya abbas
shaane abbas e ali ke huwe tan se bhi juda
ran me toofaan utha khoon ka dariya bhi baha
mu ke bal girta hai maqtal me khudaya abbas
pyaas bachcho'n ki rahi unki nazar ke aage
dekh kar ghaiz me ghazi ko layee'n hai bhaage
nehr pe karliya is tarha se qabza abbas
aayi iqbal yahaan kaisi qayamat ki ghadi
qalb e abbas chhida mashk e sakina bhi chhidi
gurz jab sar pe laga sheh ko pukara abbas