qaid khane mein ye ek roz sakina ne kaha
manzilein pyaas ki kitni hai batao bhaiya
haye abid ne kaha sunke sakina ki sada
pyaas ki char manazil hai ay pyasi behna
ye boli sakina sunao na bhai
hai kya pyaas mujhko batao na bhai
haye sakina pyasi sakina
kaha roke abid ne ay pyasi behna
nazar aaye jis dam dhuaan hi dhuaan sa
hai ye pyaas ki pehli manzil sakina
haye
ye sun kar sakina pukari tadap ke
suna tha ye qasim ke sookhe labon se
chacha jaan mai itna pyasa hoon ke ab
dhuaan chaa raha hai nigahon ke aage
jo us waqt qasim pe mushkil thi bhaiya
wohi pyaas ki pehli manzil thi bhaiya
haye sakina pyasi sakina...
ho jab tishnagi se ye haalat badan ki
chipak jaye taalu se sookhi zuban bhi
hai ye doosri manzil e pyaas bibi
haye
ye manzil bhi dekhi hai baba pe maine
kaha pyase akbar ne jab ran se aake
zuban rakh ke baba ke sookhe dahan mein
mere bhaiya akbar tadap kar pukare
zuban khushk hai ab dahan mein hai kaante
mere baba mujhse zyada hai pyase
haye sakina pyasi sakina...
kabhi pyasi macchli ki haalat suni hai
wo jab baar baar apna moo kholti hai
yehi teesri manzil e tishnagi hai
haye
ye sunte hi abid se boli sakina
yehi haal tha mere asghar ka bhaiya
litaaya tha baba ne jalti zameen par
tadapte huwe jab wo saakit hua tha
kabhi kholta tha wo pyase labon ko
kabhi band karta tha sookhe labon ko
haye sakina pyasi sakina...
kaha phir ye sajjad ne shaahzadi
na baaqi rahe jab badan mein nami bhi
hai ye aakhri manzil e pyaas bibi
haye haye
hai is manzil e pyaas par ye behen bhi
nami se mehroom mera badan bhi
mere haath ab mere bas mein nahi hai
hai paiwast mere gale mein rasan bhi
ay bhai zyada na jee paaungi ab
mai baba se milne chali jaungi ab
haye sakina pyasi sakina...
jo sajjad se pyaas ka poochti thi
wo raat aagayi chal basi jab wo pyasi
hilaata raha uske shaano ko abid
magar bhai se wo sakina na uthi
lipat kar wo soyi hai baba ke sar se
bahot thak chuki pyaas ke is safar se
haye sakina pyasi sakina...
sunaun mai zeeshan manzar wo kaise
rasan bhi na khul paayi haathon se uske
lehad mein sakina ke laashe ko rakh ke
kaha roke abid ne baba ke sar se
ay mazloom beti ke mazloom baba
tumhare hawale tumhari sakina
haye sakina pyasi sakina...