chalte chalte raah may jab ruk gaya sarwar ka sar
shaam ke ek mod par
poocha zainab ne sabab to aayi ye sar se sada
ay behan dhoondo zara
raah may gir gayi hai sakina kahin
is liye mera sar aage badta nahi
dekhe jab bhai ke ashk behte huwe
dhoondne nikli zainab ye kehte huwe
zakhmi kaano waali hai baba baba kehti hai
kya tum ne dekhi hai sakina kho gayi hai
shaam e ghariban may pehle tamache ka tha aisa asar
zaalim ke anghoti ka hai nishan aaj bhi rukhsaar par
nanhe haathon se chehra chupaati hai wo
apne ammu ko ro kar bulaati hai wo
poocho to batlaati hai kitne din ki pyasi hai
kya tum ne dekhi hai...
sakina kho gayi hai...
phir shimr baalon se khaynche na wo is liye ghabrati hai
jab uske sar pe koi haath rakhta hai to darr jaati hai
baap ki laash par aise maara usay
us ke kuch baal hai ab bhi toote huwe
shimr se wo chupti hai jaane kitna darti hai
kya tum ne dekhi hai...
sakina kho gayi hai...
qaidi banate huwe jis rasan se hamay baandha gaya
jab us rasan may hi jakda gaya khaynch kar uska gala
uske chehre ki rangat badalti rahi
saath mere wo panjon pe chalti rahi
choti se ek bachi hai jis ki gardan zakhmi hai
kya tum ne dekhi hai...
sakina kho gayi hai...
ay shaam walon isay raah may tum agar dekho kahin
us ko duaon ke badle may sadqa kabhi dena nahi
raaste ka ye manzar wo bhooli nahi
sadqa kar ke khajoore jo phaynki gayi
choti syed zaadi hai is ghurbat pe roti hai
kya tum ne dekhi hai...
sakina kho gayi hai...
hai chaar saala magar ek zaeefa si ab dikhti hai wo
baalon may uske safedi hai kham hai kamar aisi hai wo
chalna mushkil hai jaane kahan hogi wo
ek ye bhi hai uski nishani suno
gir gir kar wo uth'ti hai zehra jaisi lagti hai
kya tum ne dekhi hai...
sakina kho gayi hai...
naaqe se gir gayi thi sakina jahan
dhondte dhondte pahunchi zainab wahan
ek zakhmi zaeefa ke aghosh may
jab sakina ko dekha to ki ye fughan
tera ehsaan na bhool paungi mai
apni maa se shifa'at karaungi mai
kya tum ne dekhi hai...
sakina kho gayi hai...
chehre se parda hata kar zaeefa yehi kehne lagi
pehchan le meri zainab mujhe mai wohi maa hoo teri
thi raza aur zeeshan kaisi ghadi
boli zehra sakina bohat thak chuki
sun sun kar ye uth'ti hai
tu jab bhi ye kehti hai
kya tum ne dekhi hai...
sakina kho gayi hai...