Kanz e Aza

Sakina ki turbat banate banate

A noha for Shehzadi Sakina (s.a) (2012). Lyrics in Roman Urdu.

Sakina ki turbat banate banate

Haay hai kaisa andhera ya kya hogaya hai

Hai kiska janaza Qayamat bapa hai

Qayamat bapa hai xx2

Bhala kaun Qaidi hai kya dhundta hai

kahan par banaye lahad sochta hai


Qayamat bapa hai Qayamat bapa hai


haay haay


zaaefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...x2


kayi baar marke wo zinda hua hai

bahen ko zameen par sulate sulate


zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...x2


kahin ankh barsi kahin dil chida hai

kahin hath larze kahin dam ruka hai x2

bahattar janazo se guzra hai aabid

behen ka janaza uthaate uthaate


zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...


huwe kaan zakhmi tamache lage the

sakina ki ankhon me aansu bhare the x2

suwe neher takti thi hasrat se bachchi

jala apna daaman bujhate bujhate


zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...


lahad ke liye mil gaya Qaid khana

reha khud na ho payi bali sakina x2 magar wo aseero ko Qaide sitam se

rehayi dilakar gayi jaate jaate


zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...


ye zahra ki poti hai ghazi ki pyari ...

bahut laadli hai ye apne padar ki ...


Qayamat bapa hai Qayamat bapa hai


yeh Darbaar me kya Qayamat hui hai

sakina phuphi se ye kya puchti hai x2

kahin marr hi jae na zainab khudaya

kanizi ka matlab batate batate


zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...


Hai sakhte mein bano Qayamat hai kaisi

padar se wo baatein abhi kar rahi thi x2 magar ab kabhi bhi na bolegi bachchi

ye maa ko yakeen aaega aate aate


zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...


sakina ki jaanib se aye mere maula

sajaa naame asgar pe hasrat hai meri x2

guzar jae "akbar" ki ye umr saari

sabilo se paani pilaate pilaate


zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...