sakina ki ye sada hai chacha nahi aaye
andhera badne laga hai chacha nahi aaye
alam furaat se baba ke haath bhej diya
magar ye maajera kya hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
pade hai pyaas ki shiddat se halq mein kaante
magar labon pe sada hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
isi liye to sitam aur bad gaye hum par
yazeediyon ko pata hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
tamaam zakhm sakina ke dil par taaza hai
ye zakhm sab se hara hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
ridayein chin gayi qaime jalaye jaate hai
haram pe waqt pada hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
gire hai khaak pe jo intezar ke aansu
un aansuon ne likha hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
na jaane kaun si aisi khata hui mujhse
akela chod diya hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
kiya sakina se jo bhi sawaal asr ke baad
yehi jawaab diya hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
kahan ye shaam ka zindan kahan wo karbobala
yahan bhi dhyaan laga hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...
suroor aa gaye aankhon mein khoon ke aansu
ye nauha jab bhi suna hai chacha nahi aaye
sakina ki ye sada hai...