tha sughra ka naala bohat din huwe
koi bhi na lauta bohat din huwe
kabhi ye mera ghar bhi aabaad tha
sabhi kuch tha acha bohat din huwe
tha sughra ka naala...
behalti thi asghar ko behla ke mai
jhulaati thi jhoola bohat din huwe
tha sughra ka naala...
na koi khabar lene aaya meri
na khat koi bheja bohat din huwe
tha sughra ka naala...
na awaaz koi na aahat koi
hai ghar jaise sehra bohat din huwe
tha sughra ka naala...
juda ho gaye chaand suraj mere
tha ghar mein ujaala bohat din huwe
tha sughra ka naala...
tasavvur mein to sab mere paas hai
magar mai hoon tanha bohut din huwe
tha sughra ka naala...
na taroon se ghar mein hui roshni
na suraj hi nikla bohat din huwe
tha sughra ka naala...
sataati hai mujhko ye tanhaiyan
mujhe sab ne choda bohat din huwe
tha sughra ka naala...
ye sab jaante hai mai beemar hoon
magar kaun aaya bohat din huwe
tha sughra ka naala...
andhere hamara muqqadar bane
na dekha savera bohat din huwe
tha sughra ka naala...
judaai ke gham mein lahoo ban gaya
in aankhon ka darya bohat din huwe
tha sughra ka naala...
kabhi to sab aayenge is aas mein
abhi tak hoon zinda bohat din huwe
tha sughra ka naala...
khuda jaane waale salamat rahe
safar mein hai kunba bohat din huwe
tha sughra ka naala...
suroor uska khat aaj bhi yaad hai
bas itna likha tha bohut din huwe
tha sughra ka naala...