Kanz e Aza

Uth Laal Ali Akbar Khat Sughra ka Aya Hai

A noha for Shehzadi Sugra (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Uth Laal Ali Akbar Khat Sughra Ka Aya Hai (x2)

Beemaar Nay Ro Ro Kar Tujhay Dukhra Sunaya Hai


Din Raat Guzaroon Mein Furqat Mein Teri Ro Kar (x2)

Is Ghar Ki Udasi Nay Mujhay Kitna Rulaya Hai


Teri Yaad Jalati Hai Is Dil Ko Meray Bhaiyya (x2)

Yeh Din Bhi Meray Bhaiyya Kismat Ne Dikhaya Hai


Seenay Pe Sina Kha Ke Neend Ayee Tujhay Ban Mein (x2)

Maqtal Ki Hawaoon Nay Paigham Sunaya Hai


Ab Mujh Pe Taras Khao Din Raat Tarapti Hoon (x2)

Yeh Aakhri Sansein Hain Aur Maut Ka Saya Hai


Ik Khwab Ajab Dekha Haye Khoon Ki Lagi Mehndi (x2)

Aur Ashkon Ki Larion Say Tera Sehra Sajaya Hai