yaad aayi na tumhe fatima soughra baba
karbala jaake mujhe bhool gaye kya baba
hurf hurf iska badi ghour se padhna baba
kaampte hatho se likhi hu ye naama baba
haaye kis kis ki shikaayat karu allah allah
ek qat bhi to kisi ne nahi lika baba
kya likha haal ajab haal hai tap se mera
aise jeene se hai behtar mera marna baba
zouf itna hai ke chalti hu to gir jaati hu
sar me chakkar hai mere haath me resha baba
dekh kar haal mera roti hai ghurbat meri
hichki jab aati hai chillaati hu baba baba
bhai akbar ko bhijaane ka kiya tha wada
jald bhijwaao khuda ke lie baba baba
bhai qasim ki mere ho gayi hogi shadi
meri jaanib se mubaarak unhe kehna baba
pyaar karne meri jaanib se ali asghar ko
yaad aata hai wo chota mera bhayya baba