Lipat ke shaha se boli ye fatema sugra s.a
Watan mai kaise mai tanha rahungi aye baba
1,Aye baba waqt karha kaisa aaya hai mujhpar
Baghair aap ke ghuzregi kaise shaam o saher
Mujhe bhi saath mai lelo chalungi karbobala
Watan mai kaise ....
2,Sakina bibi ki baate mujhe rulaye gii
Wo sheer khaar ki yaade mujhe sataye gii
Ye dono lakhte jigar ko too choudo isjaa
Watan mai kaise.....
3,Zameen roti hai aur asmaan rota hai
Lipat ke sugra se kadyal jawaan rota hai
Baghair bhai ke mumkin kaha mera jeena
Watan mai kaise.....
4,Mera haseen mera maharu ali akber
Jawaan bhai mera ham shabhiy ebaighambar
Biyaa howe to mujhko bhi yaad karlena
Watan mai kaise.....
5,Mareez ho mai safar saqt hai mujhe maloom
Tamam kunba hai jo mere waaste maqmoom
Chalungi saath too hojaengi mujhe bhi shifa
Watan mai kaise......
6,Hussain bole ye sugra meri khuda hafiz
Hamari hoti hai ab ruqsati khuda hafiz
Khayaal rakhegi dadi tera ye na kahna
Watan mai kaise .....
7,Pouhanch ke karbobala ham tumhe bulaengee
Tu shifayaab agar hogi too ham ayengee
Tum apne aap ko aise nahi kehna beta
Watan mai kaise....
8,Sada e fatima sughra hai aur tanhayee
Hussain honge na abbas na koi bhai
Sada e deti rahi jab tak thi wo zindaa
Watan mai kaise ....
9,Wo intezar mai yasrab mai margayee ammar
Na shaha aye na akber na phir alambardar
Hai aaj tak bhi fizaoo mai fatema ki sada
Watan mai kaise......
✍ASKARI HUSSAIN (Ammar)