Kanz e Aza

Yeh Hai Ghame Hussain Kabhi Mit Na Paayega

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Yeh Hai Ghame Hussain Asws. Kabhi Mit Na Paayega.

hai Waqt Ka Imam Ajtf. Isi Gham Ka Rehnuma.

1. Sadiyon Se Aaj Tak Bhi Hai Chaaya Ghame Hussain Asws.

hai Har Kisi Ke Dil Mein Samaya Ghame Hussain Asws.

qud Jisko Ambiya Ne Manaya Ghame Hussain Asws. phir Kis Tarha Se Toote Yeh Matam Ka Silsila.


2. Apna Lahoo Bahake Hussaine Shaheed Par.

tab Jake Mutmayin Kahi Hota Hai Yeh Jigar.

bas Qatm Zindagi Ka Ho Is Raah Par Safar.

zehra (sa) Se Raat Din Yahi Karte Hai Hum Dua.


3. Ghar Ko Lutaya Shaah Ne Islam Ke Liye.

zainab (sa) Ko Bheja Maareka E Shaam Ke Liye.

maangi Hayaat Rab Se Isi Kaam Ke Liye.

ooncha Jaha'n Mein Parchame Islam Ko Kiya.


4. Ghar Mein Hamare Arsh Se Aati Hai Fatima (sa)

aansoo Hamare Saath Bahati Hai Fatima (sa)

humko Duayein Dete Hi Jaati Hai Fatima (sa)

gham Yeh Hamare Waaste Hai Zinda Mojiza.


5. Humse Juda Na Hoyega Gham Shahe Deen Ka.

rag Rag Mein Banke Qoon Yeh Doudega Baquda.

phir Bhi Na Hoga Humse Adaa Haq Hussain Asws. Ka.

haaye Hussain Asws. Qalb Ke Dhadkan Ki Hai Sada.


6. Islaam Ko Hayaat Mili Hai Hussain Asws. Se.

haq Ko Yeh Kayenaat Mili Hai Hussain Asws. Se.

har Gham Se Phir Nijaat Mili Hai Hussain Asws. Se.

koun O Makaa'n Mein Hashr Tak Goonjegi Yeh Sadaa.


7. Tumse Dua Yeh Anjuman E Asghari Ki Hai.

dil Ki Sada Yeh Anjuman E Asghari Ki Hai.

bas Yeh Tamanna Anjuman E Asghari Ki Hai.

rouze Pe Milke Hum Kare Matam Hussain Asws. Ka.


8. Waada Kiya Hussain Asws. Se Qaliq Ne Bas Yahi.

koi Na Naam Tera Mita Payega Kabhi.

is Waste Sohail Yeh Zinda Hai Aaj Bhi.

mehshar Mein Bhi Manayenge Hum Milke Yeh Aza.


9. Qayam Nagar Ke Saare Azadar Ya Hussain Asws.

gham Mein Tumhare Ab Hai Dilafgaar Ya Hussain Asws.

roze Jaza Ho Phir Tera Deedar Ya Hussain Asws.

rone Pe Tere Bas Hamein Mil Jaaye Yeh Sila.

az: Janab Raza Ali Sohail Sahab.