Kanz e Aza

Aajayiye Baba mere

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Aajaaiye baaba mere aajaiye baaba

Noha ye sakina ka tha aajaiye baaba

1. Is qaid se aakar humein chudhwaaiye baba

Aajaiye baba mere aajaiye baba


2. Ab tab nahi mujhme zaalim ke tamacho ki

Kab tak mai mazaalim sahu batlaiye baba


3. Zaalim ne rasan baandhi gale me mere kas kar

Dam rukta hai aakar use khulwaaiye baba


4. Mare na tamaache mujhe seli na lagaaye

Aap aake zara shimr ko samjhaiye baba


5. Hai sar khule phupi meri ghairo ke saamne

Chaadar phupi ke waste le aaiye baba


6. Soti thi sada aapke seene pe sakina

Kis tarha soou’n khaak pe farmaaiye baba


7. Baba ye nouha mir ka kar lijiye qubool

Rouze pe apne usko bhi bulwaaiye baba

Kalaam : Meer Kumai ALi