Abbas (asws) Ke Marne Se Haram Toot Gaye Hain.
1. Ashoor Ki Shab Kehti Thi Saidaniya'n Rokar.
Sab Qatl Hue Koi Bhi Waris Nahi Sar Par.
Kaano Se Sakina S.A. Ke Layee'n (L.A) Leta Hain Gouhar.
Parde Ka Muhafiz Jo Nahi --chin Gayi Chadar*2.
Abbas (asws) Ke ......
2. Sajjad (asws) Ko Pehnate Hain Ab Tauqe Giraa'n Baar.
Kis Tarha Sahe Zulm O Sitam Aabid E Beemar.
Kodo'n Se Azeeyat Use Pohonchate Hai Kuffar (L.A)
Har Ek Qadam Raah Mein --chalna Bhi Hai Dushwaar*2
Abbas (asws) Ke .....
3. Qaliq Se Jo Waada Tha Shahe Dee'n Ne Nibhaya.
Islaam Pe Ghar Baar Fida Kardiya Saara.
Jalti Hui Reti Pe Kiya Shukr Ka Sajda.
Loota Gaya Ghar Fatima.--zehra S.A. Ka Qudaya*2.
Abbas (asws) Ke Marne....
5. Dar Dar Sare Baazar Liye Jaate Hai Zaalim (L.A)
De De Ke Sitam Aal Ko Rulwaate Hai Zaalim (L.A)
Sajjad (asws) Pe Har Tarha Jafa Dhaate Hai Zaalim (L.A)
Pani Ki Har Ek Boond Ko-- Tadpate Hain Zaalim (L.A) *2
Abbas (asws) Ke Marne....
6. Abbas E Alamdar (asws) Madad Karne Ko Aao.
Masoom Sakina S.A. Ko Tamacho'n Se Bachao.
Beemar Ko Durro'n Ki Azeeyat Se Chudao.
Tum Apna Quda Jjh. Le Liye-- Aijaaz Dikhao*2.
Abbas (asws) Ke Marne.....
7. Qaidi Bani Darbar Mein Hain Aal Nabi Ki.
The Saat Sau(700) Kursi Nashee'n (L.A) Aafat Yeh Nayi Thi.
Be Maqna O Chadar Thi Khadi Bibiya'n Saari.
Chaayi Thi Har Ek Bibi Ke-- Chehre Pe Udaasi*2.
Abbas (asws) Ke Marne.....
8. Yeh
Anjuman E Asghari
Hain Shaah E Do Aalam.
Hum Dete Hain Pursa Tumhe Karte Hue Matam.
Taa Hashr Zamane Mein Rahega Yeh Tera Gham.
Nouha Yeh Har Ek Lab Pe --sada Hoyega Paiham*2.
Abbas (asws) Ke Marne.....
9. Chehlum Ke Liye Pohonchi Jo'nhi Shaah Ki Itrat.
Meelo'n Ka Safar Oonto'n Pa Wo Dhoop Ki Shiddat.
Zainab S.A. Ka Bayaan Sunke Hili Shaah Ki Turbat.
Barpa Hui Us Waqt
Sohail
Ek Qayamat*2.
Abbas (asws) Ke Marne Se Haram Toot Gaye Hain.
Kalaam: Janab Raza Ali Sohail Sahab.