Kanz e Aza

Abbas ke Naukar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

abbas ke naukar hai pani to pilayenge

badle may duayein hum shabbir se payenge


shia ho ya sunni ho hindu ho ya esayi

jo hurr ki tarha aaya seene se lagayenge

abbas ke naukar hai...


ye keh ke pilaate hai in haathon se hum pani

is kaam na aaye to kis kaam ye aayenge

abbas ke naukar hai...


jarob kashi kaisi hum palkein bichayenge

jis raah pe sab zaair chalte nazar aayenge

abbas ke naukar hai...


pani peelo aao pyason ko yaad karo

saqqe ki tarha hum ye awaaz lagayenge

abbas ke naukar hai...


hota jo luaab e nabi beshak wo mila dete

hum sache hai jhoota bhi pani na milayenge

abbas ke naukar hai...


abbas ziarat to karwayenge har soorat

ya hum ko bulayenge ya khwab may aayenge

abbas ke naukar hai...


saans aati hai saanson ki shabbir ke matam may

gar chod diya matam hum jee nahi payenge

abbas ke naukar hai...


ye fazal sakina se bolay jo mila pani

baba ki qasam pehle hum tumko pilayenge

abbas ke naukar hai...


sajjad o takallum aur ye mir hassan kya hai

khud khizr bhi jannat may kehte nazar aayenge

abbas ke naukar hai...