zaafar mai lut gaya mera koi nahi bacha
mai jee ke kya karun mera ab kaun hai raha
ay zaafar e jinn ay zaafar e jinn
zaafar tumhe dikhaun kahan hadh e sabr hai
dekho wo saamne ali asghar ki qabr hai
chehre pe uska khoon hai maine mala hua
ay zaafar e jinn ay zaafar e jinn
zaafar mai lut gaya...
zaafar na poocho kaise zameen par hai ye nishan
ragdi yahan pe hai ali akbar ne aediyan
ye khaak par hai khoon usi ka gira hua
hamare jaan o jigar thay yehi ali akbar
hamare noor e nazar thay yehi ali akbar
hamare rashk e qamar thay yehi ali akbar
hamare sher pisar thay yehi ali akbar
huwe zaeef kidhar jaaye hum asa na raha
hamari zeest ka zaafar koi maza na raha
zaafar mai lut gaya...
tum se zyada rakhta tha taaqat wo bawafa
yun khul ke apne bhai ko ladne nahi diya
kat kar bhi uska haath na talwaar se hata
ay zaafar e jinn ay zaafar e jinn
zaafar mai lut gaya...
pehla yahan pe doosra baazu wahan kata
mashkeeza yahan chida wahan gurze garan laga
ran mein hua hai chaar jagah qatl bawafa
zaafar mai lut gaya...
laashon ke darmiyan jo hai ghatri rakhi hui
zaafar usi mein laash hai farwa ke laal ki
qasim hamara ghodon se pamaal ho gaya
ay zaafar e jinn ay zaafar e jinn
zaafar mai lut gaya...
ye mayyatein hai aun o mohamed ki be-kafan
do aansu tum bhi nazar karo jee uthe behan
laashon pe unki royi nahi binte murtaza
ay zaafar e jinn ay zaafar e jinn
zaafar mai lut gaya...
pehchaante ho kiska ye laasha hai khoon bhara
khat likh ke hum ne inko bulaya tha karbala
dekho mere habeeb ko bhi le gayi qaza
zaafar mai lut gaya...
tehreer ek nikaal ke kehne lage imam
sab ko likha hai dukhtare mazloom ne salaam
kuch dayr pehle khat hamein sughra ka hai mila
ay zaafar e jinn ay zaafar e jinn
zaafar mai lut gaya...
nigaah thi taraf e aasman chale hazrat
jahan khade thay wahin aaye phir zahe qismat
kaha sabon se mulaaqat ho chuki rukhsat
farishte jaaye falak par nabi suye jannat
jidhar se laaye hai tashreef sab udhar jaaye
faqat yahan malak ul maut ab nazar aaye
sajjad bole maula ke manzil khareeb hai
khanjar qareeb zaanu e qaatil khareeb hai
jaa ab chala jaa aati hai maqtal mein fatema
ay zaafar e jinn ay zaafar e jinn
zaafar mai lut gaya...