azadaro soghwaro rone walo pursadaro
ay zaairon qadam ko rakho dekh bhaal kar
kis kis ka khoon baha hai na jaane kahan kahan
ay zaairo qadam...
halq e sagheer teer se jab zakhmi ho gayi
sehra e karbala mein bahi khoon ki nadi
aur mayyat liye hussain bhi tadpe hai kis qadar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
ek naujawan tha jiska jigar chalni ho gaya
kitna badan mein khoon tha akbar ka beh gaya
thi shakle mustafa ke lahoo se zameen tar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
mayyat jawan pisar ki liye jab chale hussain
phir naujawan ki laash liye gir pade hussain
seene mein phat na jaye kahin shaah ka jigar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
farwa ke ek chand ko aisa grehan laga
maqtal mein jiske jism ka tukda hai ja ba ja
dhalta hai khaak o khoon se shabbar tera pisar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
reti pe khoon hai ab bhi sayeed o zohair ka
hai ja ba ja habib ka hurr ka burair ka
har jism tha zameen pe naizon pe sab ke sar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
is sar zameen pe khoon hai mohamed ke aon ke
is sar zameen pe khoon ke katre hai john ke
arz e bala mein ahle falak bole aan kar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
ashoor ko hussain ka chalna muhaal tha
maqtal ka waqt e asr tha zahra ka laal tha
roya kiye hussain yehi soch soch kar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
jab sibte mustafa ke galay par churi chali
zainab khadi hai ye samaa dekhti rahi
behre madad bulaati kise haye nauhagar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
har laash ran mein ghodon se pamaal ho gayi
ashoor ko ye arz e bala laal ho gayi
sajjad bhi pukaar uthe ghash se chaunk kar
kis kis ka khoon...
ay zaairon qadam...
nauha raqam ho kis tarha ay arze karbala
rehan ke bayan pe mubarak ne ki buka
hum karbala pahunch ke pukare ba chashme tar
labbaik ya hussain
labbaik ya hussain