dekha zainab ko to abdullah ne ro kar poocha
ay zaeefa meri zainab ko kahin dekha hai
kis liye aayi hai karne mere ghar tu girya
ay zaeefa meri zainab...
kya mohamed ki nawasi ko tu pehchaanti hai
kya mere aun o mohamed ko bhi tu jaanti hai
tujhko maloom hai ehwaal mere bachon ka
ay zaeefa meri zainab...
kitne mashoor thay is shehr mein khairaat uski
apni maadar se bahot milti thi surat uski
od kar ghar se nikalti thi wo zehra ki rida
ay zaeefa meri zainab...
khayncha karta tha qalatein ali akbar uski
kitni tazeem kiya karte thay sarwar uski
aur abbas diya karte thay pehra uska
ay zaeefa meri zainab...
badliyan gham ki madine pe jo ye chaayi hai
kya wo shehzadiyan pardes se laut aayi hai
aa gaya khair se kya sibte nabi ka kunba
ay zaeefa meri zainab...
roke abdullah se tab hazrate zainab ne kaha
mai hi zainab hoo masayeb ne mujhe ghera hai
aaj tum bhi nahi pehchaante chehra mera
mai hi zainab hoo...
mai hi zainab hoo magar aaj hoo mai kitni ghareeb
le gaya nargha e aada mein mujhe mera naseeb
aur mere paas na mehmil thi na maqna na rida
mai hi zainab hoo...
huwe maqtool e jafa dasht mein bache mere
hadh to ye hai ke jalaye gaye qaime mere
jal gaya sholon mein baysheer ka nanha jhoola
mai hi zainab hoo...
rukh pe sarwar ne mala khoon ali asghar ka
dekha barchi mein jigar maine ali akbar ka
saamne mere kata hai mere bhai ka gala
mai hi zainab hoo...
kahun kis tarha bandhi thi mere shaano pe rasan
kaise batlaun mai wo shaam ke zindan ki ghutan
hogayi khaak ka pewand sakina dukhiya
mai hi zainab hoo...
kya kahe nayyar o aamir wo bhala gham ka samaa
wo madina ki faza ho ya ho zainab ki fughan
uth rahi thi dar o deewar se nauhon ki sada
mai hi zainab hoo...