Kanz e Aza

Bhaiya Kyun Nahi

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

pooch rahi hai karbobala ke raston se bemaar

bhaiya kyun nahi aaye


khoon rulaate hai mujhko yasrab ke dar o deewar

bhaiya kyun nahi aaye


aankhon se ojhal nahi hota chehra akbar ka

dhoondti rehti hoon khwabon mein sehra akbar ka

toot ke roz bikhar jaate hai aansuon ke haar

bhaiya kyun nahi aaye...


jab se falak par chand nazar aaya hai moharam ka

lagta hai mujhko arsh bhi jaise farsh ho matam ka

chand ke peeche jaise chipi ho barchi aur talwaar

bhaiya kyun nahi aaye...


hai ye dua ay maalik mera baabul khair se ho

ghayr na le sehrayi darinde duldul khair se ho

ache nahi haalat bhi shayad kufe ke us paar

bhaiya kyun nahi aaye...


kya hui aakhir mujhse khata maloom to ho mujhko

paayi hai kyun furqat ki saza maloom to ho mujhko

rooth gaya majboor behen se kyun beeran ka pyaar

bhaiya kyun nahi aaye...


khat bheja aur qasid se sandes bhi keh laaya

phir bhi mujh birhan ka kisi ko dhyaan nahi aaya

bhool gaya pardes mein jaa kar mujhko mera pariwar

bhaiya kyun nahi aaye...


haar gayi mai kismat ki tehreerein jeet gayi

raasta takte takte do do eidein beet gayi

ho na saka hamshakle nabi ke chehre ka deedar

bhaiya kyun nahi aaye...


kaise bataun kitna kathin hai hijr ka gham bhaiya

choomti rehti hoon mai tere nakshe qadam bhaiya

darr hai mit jaaye na kahin in qadmon ke aasaar

bhaiya kyun nahi aaye...


mere maalik mere pardesi kunbe ki khair

behno ke maaon ke phupiyon ke parde ki khair

khwaab mein maine dekhe hai kuch pathar aur bazaar

bhaiya kyun nahi aaye...


dekh rahi hoon naiza naiza chadar chadar khoon

basti basti sehra sehra pathar pathar khoon

sheeshe mein jo khaak thi wo bhi hogayi khoon ki dhaar

bhaiya kyun nahi aaye...


jaise kisi barchi ki chuban mehsoos ho seene mein

rone lagti hai ek bibi ab bhi madine mein

sunte hi aamir ki zaban se nayyar ke ash'aar

bhaiya kyun nahi aaye...